Khwab ban kar tu barasta rahy shabnam shabnam..

Koi dhun ho main tere geet hi gaye jaon..
Dard seeny mein uthay shor machaye jaon..

Khwab ban kar tu barasta rahy shabnam shabnam..
Aur bas main issi mosam mein nahaye jaon..

Tere hi rang utarte chale jayen mujh main..
Khud ko likhon teri tasweer banaye jaon..

Jis ko milna nahi phir us se muhabat kesi..
Sochta jaon magar dil mein basaye jaon..

Tu ab uski hui jis par mujhe pyar aata hai..
Zindgi aa tujhe seeny se lagaye jaon..

Yehi chehre mere hone ki gawahi dain gey..
Har naye harf mein jaan apni samaye jaon..

Jaan to cheez hai kia rishta-e-jaan k aagay..
Koi awaaz diye jaye main aaye jaon..

Shayad is raah pe kuch aur bhi raahi aayen..
Dhoop mai chalta rahoon saaye bichaye jaon..

Ahl-e-dil honge to samjhain gey sukhan ko mere..
Bazm mein aa hi gaya hon to sunaaye jaon…!

Re: Khwab ban kar tu barasta rahy shabnam shabnam..

Khwab ban kar tu barasta rahy shabnam shabnam..
Aur bas main issi mosam mein nahaye jaon..

uthoo jago poetry waluun :omg:

Re: Khwab ban kar tu barasta rahy shabnam shabnam..

soi hui qom :snooty:

Re: Khwab ban kar tu barasta rahy shabnam shabnam..

abhi tu pori qom jagh rahi hai abb app ka kya huga kaliya :omg:

Re: Khwab ban kar tu barasta rahy shabnam shabnam..

Bohat Umdah…:k: