khwaaboN meiN sirf aake na yuN shaad keejiye

khwaaboN meiN sirf aake na yuN shaad keejiye
aaNgan hamaare dil ka bhi aabaad keejiye

sab’r-o-sukoon-o-furqat se ghabraaya jii ke yuN
main un se kah raha huN mujhe yaad keejiye

soorat nikaalna hai visaal-e-yaar ki magar
ho kuch na aur bas meiN to faryaad keejiye

ek um’r se haiN uljhaaye, zulfoN ke peNch-o-kham
hai ilteja yehi ki na aazaad keejiye

aayi samajh meiN aakhir, haqeeqat hai aakhirat
aalam naza ka hai to kya imdaad keejiye

sun_te haiN vo rakhe hai kharaaboN pe hi nazar
lillah aap mujh ko bhi barbaad keejiye

mushkil hai un se milna magar is qadar nahiN
rasta naya Anis koi iijaad keejiye