**Sahibo, khwaab parindooN ki tarah hotey haiN
chhona chahoo to yeh urh jatey haiN
our phir hath naheen aatey haiN
kabhi ik shah-e-tamanna mehaktey howey gatey rehna
dastaaN door key daisooN ki sunatey rehna
her ik nayi rut meiN neya geet bana kar lana
kabhi hansna, kabhi tadair rulatey rehna
urhti khushboo ki tarah qaid naheen ho saktey
kissi bhi teer sey yeh said naheen ho saktey
kabhi manzil kabhi rastooN ki tarah hotey haiN
Sahibo, khwaab khilonooN ki tarah hotey haiN
aabgeenooN ki tarah phoot gaye
ik zara thais lagi, toot gaye!
Yeh kissi umr, kissi waqt key paband naheeN
kabhi guriya ki tarah soeeN galey sey lagg kar
kabhi koney meiN parhey rehtey haiN beganey sey
kissi manoos si aahat ka ishara pa ker
dehaan key taaq meiN sajtey haiN pari-haney sey
khwahisheeN dil meiN khilati haiN sitarey kya kya!
aankh meiN khwaab ka ik chand utarr aaney sey
kabhi apney kabhi ghairooN ki tarah hotey haiN
Sahiboo, khwaab khilonooN ki tarah hotey haiN…**