Apnay ghar ki khirki se main asmaaN ko dekhooN ga
Jis par tera naam likha hay us tare ko dhoondooN ga
Tum bhi har shab diya jala kar palkooN ki dehleez pe rakhna
Main bhi roz ek khwaab tumhare shahar ki janib bhaijooN ga
Hijr ke dariya main tum parhna lahroon ki tahreeraiN bhi
Paani ki har satr pe main kuch dil ki baataiN likhooN ga
Jis tanha se pair ke neeche hum baarish main bheege the
Tum bhi us ko chuu ke guzarna, main bhii us se liptooN ga
Khwaab musaafir lamhoon ke hain, saath kahan tak jainge
Tum nay bilkul theek kaha he, main bhi ab kuch sochooN ga
and amjadbhai aap nay jo ghazal de bahut
hi zabardast hai!
kahaa.N aake rukane the raaste kahaa.N mo.D thaa use bhuul jaa
vo jo mil gayaa use yaad rakh jo nahii.n milaa use bhuul jaa