Khwaab martay haiN-Ahmed faraaz

Khwaab martay haiN

Khwaan martay haiN
Khwaab dil hai na aaNkhaiN na saaNs k jo

Raiza-raiza huay to bikhar jaiN
Jism ki maut say yeh bhi mar jaiNgay

Khwaab martay nahiN
Khwaab to raushni haiN,nawa haiN,hawa haiN

Jo kaalay pahaaroN say ruktay nahiN
Zulm kay daur-khooN say bhi phuktay nahiN

Raushni aur nawa aur hawa kay alum
MaqtaloN maiN pahuNchkar bhi jhuktay nahiN

Khwaab to harf haiN
Khwaab to noor hain

Khwaab suqraat haiN
Khwaab maNsoor haiN


Meaning:
Nawa- word(song),Alum-flag,Maqtal-place where killing takes place

Re: Khwaab martay haiN-Ahmed faraaz

Khawab sahara dai thay hai! Khawab aik roshni aik hope dai thay hain!

Re: Khwaab martay haiN-Ahmed faraaz

:k:

Re: Khwaab martay haiN-Ahmed faraaz

nice one :)

Re: Khwaab martay haiN-Ahmed faraaz

becharay khwaab :k:

Re: Khwaab martay haiN-Ahmed faraaz

welldone sardar jii :k:

Re: Khwaab martay haiN-Ahmed faraaz

Wahhh

Re: Khwaab martay haiN-Ahmed faraaz

Thanx a lot

Re: Khwaab martay haiN-Ahmed faraaz

Wahhhhhhhh
*Thanks for sharing *

Re: Khwaab martay haiN-Ahmed faraaz

thanx a to u all.,