~*~ Khwaab hain tau magar ... Tukroon mein zameen per bikhray hain ~*~

http://i55.tinypic.com/29pb02h.jpg

Mein hairaan aankhoon se
Khwaboon ko dekhti hoon
Jo kuch waqt pehlay hi
Meri aankhoon mein bastay thay
Meri palkoon per sajtay thay
Meri duniya raushan si rakhtay thay
Yeh achaanak manzar badla hai kaise?
Khwaab hain tau magar
Tukroon mein zameen per bikhray hain
Aur mein !!!
Hairaan aankhoon se apne khwaboon ko dekhti hoon …
*

Re: ~~ Khwaab hain tau magar ... Tukroon mein zameen per bikhray hain ~~

baut hi khoob

Re: ~~ Khwaab hain tau magar … Tukroon mein zameen per bikhray hain ~~

:lajawab: