khwaab dilasa detay hain



Jub zindage kay safar main
saharon kay taqub main
chaltay chaltay hum thak jatay hain
aur manzil bhatak jate hai
to aisay kamzor lamhon main
khwaab dilasa detay hian ..


Yahi sahara bantay hain
aur jub chahat kay samandar main
hum raahein dhoondtein hain
magar hum apna app bhi kho detay hain
aur jub aas se dobnay lagtee hai
**to aisay baybus lamhon main **
khwaavb dilasa detay hain ..


Yahi kinara bantay hian
aur jub dil ke char-diwari main
muqeed dukh dard ko khamoshi say seh kar
maan panchi ghutan mehsoos karta hai
**khushi-o-roshni k aas karta hai **
to aisay sarab lamhon main
khwaab dilasa detay hain ..


Yahe darwaza bantay hain
**aur jub pyar ke bazi main **
hhum apna sub kuch kho detay hain
aur khali hath-o-nigahon say
zeesth guzarni parthi hai
to aise mayoos lamhoon main
khwab dilasa detay hain ..
yahi asasa bantay hain …

Re: khwaab dilasa detay hain

very nice ji :)