khwaab azaab

Vo Sari Baatein Khuwaab Huien

Aur Khuwaab Se Phir Azaab Huien

Jab Tum Ko Saba k Jhonkay Se

Paigham Hamara Milta Tha

Jab Meri Ik Nazar Se Hi

Chehra Yeh Tumhara Khilta Tha

Kuch Yaad Sa Tum Ko Hay Jaana?

Jab Phone Ki Aadat Roz Ki Thi

Kuch Dair Jo Mujh Ko Ho Jati

Tum Ghantoon Rootha Karti Thi

Kabhi Geeton Ki Kabhi Shairon Ki

Tum Khuwahish Mujh Se Karti Thi

Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Se

Mery Chehrey Se Meri Aankhon Se

Aur Jhank k Meri Aankhon Mein

Tum Khud Ko Dhoonda Karti Thi

Ik Do Din Dekh Na Pao To

Tum BeKal BeKal Rehti Thi

Aur Ab To Aisa Aalam Hay

Koi Chahat Hay Na Ulfat Hay

Kya Pyar Muhabbat Aur Wafa

Iss Zikar Se Tum Ko Vehshat Hay

Main Lakh Tasalli Khud Ko Doon

k Ab b Teri Khuwahish Hoon

Anjaan Bazahir Lagtay Ho

Main Ab b Tera Mehwar Hoon

Par Dhoka Aakhir Dhoka Hay

Kab Tak Dil Ko Behlaye Ga

Do Pal Ki Khushian De Kar Yeh

Mujhay Sadiyan Lahoo Rulaye Ga

Kiun Tum Taqdeer Se Lartay Ho?

Kiun Khud Ko Dhoka Detay Ho?

Khuwabon k Tukray Chun k Ab

Kiun Khud Ko Ghayal Kartay Ho?

Yeh Baat Tumhey Maloom To Hay

Kab Beeti Yaadein Laut,ti Hain

Jo Baatein Khuwaab Si Ho Jayein

Vo Baatein Khuwaab Hi Rehti Hain…!!!

Re: khwaab azaab

Very nice :k:

Re: khwaab azaab

Kab Beeti Yaadein Laut,ti Hain

Jo Baatein Khuwaab Si Ho Jayein

Vo Baatein Khuwaab Hi Rehti Hain...!!!

*sigh :-(

Re: khwaab azaab

Great jii

Re: khwaab azaab

waqei sach kaha hei !

Re: khwaab azaab

very nice :k:

Re: khwaab azaab

buhut khoob :)

Re: khwaab azaab

khvaab kuch khvaab hi reh gayen mere
unhe kahan mei jee paya

nice stuff!