Khwaaab

Khwaab martay nahi
Khwaab dil hain na aankhain, na saansain ke jo
Raiza raiza huwe to bikhar jaayainge
Jism ke mout se ye bhi marr jaayainge
Khwaab martay nahi
Khwaab to roshni hain,
Nava hain, hava hain
Jo kaale pahaaron se ruktay nahi
Zulm ke dozakon se bhi phuktay nahi
Roshni aur nava aur hava ke aalam
Maqtalon mein pohonch kar bhi jhuktay nahi

Khwaab to harf hain
Khwaab to noor hain
Khwaab to sukraat hain
Khwaab mansoor hain

Beautiful....

Nice :k::k::k:

jabardus:k:

[QUOTE]
..Khwaab to harf hain
Khwaab to noor hain
Khwaab to sukraat hain
Khwaab mansoor hain.
[/QUOTE]

khoob

Nice khuwaab married baji :k:

nice :k:
:slight_smile:

gud stuff indeed...