is vaqet to yuun lagataa hai ab kuchh bhi nahi hai
mehataab na suuraaj na endheraa na saveraa
aankhon ke dariche’ mein kisi husn kii jhalakan
aur dil ki panaahon mein kisi dard kaa deiraa
mumkin hai koe vahem ho mumkin hai sunaa ho
galiyoon mein kisi chaap kaa ek aakhiri pheraa
shaakhoon mein kheyaaloon ke ghane peir ki shaayad
ab aake karegaa na koi khvaab baseraa
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishtaa
teiraa koi apanaa na paraayaa koi meraa
maanaa ki ye sunsaan gharee sakht bharee hai
lekin mereye dil, ye to faqat ek gharee hai
himet karo jine’ ko abhi umr paree hai
-Faiz