Khuwabo Ka Shahzada!

Alright, so I was wondering, jis tarhan most of the females have this term, khuwabo ka shahzada, kiya mard hazraat bhi is tarhan sochte hain apni Soul mate ke unki life main aanay say pehle? :chilly:

Re: Khuwabo Ka Shahzada!

yep: **

ik Husn pari chehraa jab saamne aataa hai
ham dil ko vahiiN thaam liyaa karte haiN!**

aisaa sochte haiN k ek naazneenaaN mahjabeena uskii zindagii meN ik roz zaroor aayegii :)

we also wait for MISS-RIGHT! :) mujhe to kitneeeeeeeeeeeeeee saal ho gaye wait karte huye...vaise, ab yeh intizaar asl se ziyaada achchhaa lagne lagaa hai k kam se kam intizaar se ummeed to juRii huii hai :)

Re: Khuwabo Ka Shahzada!

Yeah, ever heard "mere sapno ki rani kab aayegi tu"? :D

Re: Khuwabo Ka Shahzada!

lol- aap exceptional case hain…ap ka comment hum ne suni an suni ker diya…kyuke bhai apto vo hain jo physical attraction walay criteria main bhi No vote ker chukay hain :cb:

:hehe: my dear, gaana hay wo, aur film thi wo…mujhay jeeti jaagti misaal chahye :smiley:

Re: Khuwabo Ka Shahzada!

jaisa des vaisa bhes…ham har thread meN girgiT kii taraH rang badalte haiN lol…j/k…

…Khaahish ek alag baat hai aur soch ek alaihda baat hai…aadmii na jaane kia kia sochtaa hai magar jab Haqeeqat saamne aatii hai to use qubool karnaa paRtaa hai. :slight_smile:

Re: Khuwabo Ka Shahzada!

Dil ka bola hoo..tabiyaat ka sadaaaaaa...wadi- e -ishq sai aaiga mera shehzad ;-)

Re: Khuwabo Ka Shahzada!

Our problem is what we think about future soul mate cannot be described in words.

Re: Khuwabo Ka Shahzada!

aadmi?? main nain to zada tar Aurat ko qubool kertay dekha hay…mard km hi bardasht ka maa`ada rakhte hain :chai:

Re: Khuwabo Ka Shahzada!

OUR or Your?? :konfused: