Mer janay waloon per
bohat say ansoo baha ker
sabber to aa hee jata hay
dil akhir ther hee jata hay !
zkhaum ger koi lag jaye
dawa yahan kam aajayee
merhum kissi kay rakhnay say
zakhum bher to jata hay !
kery koi bay wafayee
ho muhabbat ki ruswayee
kissi ki wafa say phir
yaqeen aa to jata hay !
sookhay hoyee paair per
bahaar kay aa janya say
bairsh kay bars anay say
phool khil hee jata hai !
lakin yeh maini jana hai
**khuwab kay azab main **
ger koi phass jayee
koi qabber nahi miltee
**jis main in ko dafnain **
**phir roo ker bhool jain **
**nahi aisa nahi hota **
**khuwab kabhi nahi mertay **
**saans kay niklany tak **
**azad yeh nahi kertay **
**jitna in ko dabaoo gay **
**utna phayltay jain gay **
**jitna in ko chupaoo gay **
**utna yeh or sattain gay **
khuwab ki nager main ger
chala jayee koi aik bar
**wapus kabhi nahi ata **
**rasta woh nahi pata **
**yeh azab der azab hay **
is main na tum kabhi ana
**na is main dil therta hay **
**na koi zkahum bherta hay **
na yaqeen ko der milta hay
**na koi phool khilta hay **
**khuwab chaltay jatay hain **
**derd berhtay jatay hain **
in ko kabhi bhi koi asra nahi milta !
jan 20 /04