Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa

Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa
phir mujhe de diyaa gayaa ek diyaa bujhaa huaa

ek hii daastaan-e-shab ek hii sil_silaa to hai
ek diyaa jalaa huaa ek diyaa bujhaa huaa

mahafil-e-rang-o-nuur kii phir mujhe yaad aa ga_ii
phir mujhe yaad aa gayaa ek diyaa bujhaa huaa

mujh ko nishaat se fuzuu.N rasm-e-vafaa aziiz hai
meraa rafiiq-e-shab rahaa ek diyaa bujhaa huaa

dard kii kaa_inaat me.n mujh se bhii raushanii rahii
vaise merii bisaat kyaa ek diyaa bujhaa huaa

sab merii raushanii-e-jaa.N harf-e-suKhan me.n Dhal ga_ii
aur mai.n jaise rah gayaa ek diyaa bujhaa huaa

Re: Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa

nice sharing and welcome here:)

Nice!

Re: Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa

[QUOTE]
dard kii kaa_inaat me.n mujh se bhii raushanii rahii
vaise merii bisaat kyaa ek diyaa bujhaa huaa
[/QUOTE]

^^ zabardast.

Bhot Aala !
Thank u very much sonia Jee 4 sharing this.
:)

nice sharing really bohot achi ghazal he pir zada qasim sahab ki

Re: Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa

nice sharing :)

Re: Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa

sab merii raushanii-e-jaa.N harf-e-suKhan me.n Dhal ga_ii aur mai.n jaise rah gayaa ek diyaa bujhaa huaa

Re: Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa

nice

Re: Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa

Welcome to the world of Gs :bb:



Umda sharing :k: keep em coming !

Re: Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa

nice......