Re: Khushka?
lol…kiuN insult kar rahe haiN bechaare lakhnauwii Khushke kii…bhaat BihariyoN waalaa patna rice [moTaa aur TooTaa huaa chaawal] se bantaa hai aur vo bilkul geelaa hotaa hai…Khushke kii Khaas baat yeh hai k ek ek chaawal kaa daanaa separate honaa chaahiye pakne ke ba’d…agar chaaewal aapas meN juR gaye to vo KHushkaa Khushkaa nahiiN…aur haN, bahtareen baasmatii chaawal ke baGahir Khushke kaa tasavvur bhii nahiiN kiyaa jaa saktaa.
**
bhaat = coarse rice for poor people (:p)
Khuskaa = fine rice for nawaabs (;)**