***Mujh ko is ka gham nahee ke mein akela reh gaya
Chor kar mujh ko woh khud bhi tanha reh gaya
Hum agar ujjray tu us ke paas bhi kya reh gaya
Khushk lab, weeraan aankhain, zard chehra reh gaya
Mein ne chaaha tu bahut magar kya karoon mera naseeb
Khwaab jo aankhoon ne dekha adhoora reh gaya
Mein agar mitaana chahoon bhi tu mita sakta nahee
Safha-e-dil per bas us ka naam reh gaya...***
Buhat khoob :k:
Very Nice… ![]()
Mein ne chaaha tu bahut magar kya karoon mera naseeb
Khwaab jo aankhoon ne dekha adhoora reh gaya
Mein agar mitaana chahoon bhi tu mita sakta nahee
Safha-e-dil per bas us ka naam reh gaya…
Beautiful :k::k:
Wah!