Khushii ne mujh ko Thukaraayaa hai ra.nj-o-Gam ne paalaa hai

Khushii ne mujh ko Thukaraayaa hai ra.nj-o-Gam ne paalaa hai
gulo.n ne beruKhii kii hai to kaa.NTo.n ne sambhaalaa hai

muhabbat me.n Khayaal-e-saahil-o-ma.nzil hai naadaanii
jo in raaho.n me.n luT jaaye vahii taqadiir vaalaa hai

charaaGaa.N kar ke dil bahalaa rahe ho kyaa jahaa.N vaalo
a.ndheraa laakh raushan ho ujaalaa phir ujaalaa hai

kinaaro.n se mujhe ai naaKhudaa duur hii rakhanaa
vahaa.N lekar chalo tuufaa.N jahaa.N se uThane vaalaa hai

nasheman hii ke luT jaane kaa Gam hotaa to kyaa Gam thaa
yahaa.N to bechane vaalo.n ne gulashan bech Daalaa hai

:( !!!!!!!!

nasheman hii ke luT jaane kaa Gam hotaa to kyaa Gam thaa
yahaa.N to bechane vaalo.n ne gulashan bech Daalaa hai

:k: likan bhut hi sad :frowning: