gum ho janay do mujhay
rangoon kay is samander main
ur lenay do, abhi
khaboon kay is asman pay
sooraj bhi aaj apna dost howa hay
dekh lenay do is ki ankhoon main mujhay
hawa kay dosh pay soch ki uraan
jis nagar lay jai
door! lay janay do
kay dar hay mil na jai
wapisi ka rasta
apnay aap ki is andher nagri ka rasta
kon janay kal ki baat
kal ki fikrain
is pal ka maza to ji lenay do
khamosh raat