Hai wasf us k pass yeh badal saky har aik shay
So mujh ko bhi badal dia aur aap bhi badal gaya,
Machal raha tha dil bohat so dil ki baat man li
Samajh raha hai nasamajh k dao us ka chal gaya,
Yeh doar bhi ajeeb see hai faisla ajeeb tar
Hai fatah e hayat woh jo gir k phir sambhal gaya,
Samajh lia eham nahi mai us k wasty magar
Nazar phir us se mil gai yeh dil k phir behal gaya,
Ghoroor ki saza kahin k aatish e sada usay
Gulon k rukh pe waqt kyoon khizan k rang se mil gaya,
Ajeeb mera aks tha utar k us ki aank mai
Sanwara mujh ko is tarhan k aaina hi jal gaya.
**