tere Khushbu mein base Khat main jalata kaise
Pyar main doobe hue khat main jalata kaise
jin ko duniya ki nigaahon se chupaye rakha
jin ko ik umr kaleje se lagaye rakha
din jin ko jinhain imaan banaaye rakha
jin ka har lafz mujhe yaad tha paani ki tarah
yaad the mujh ko jo paiGaam-e-zubani ki tarah
mujh ko pyaare the jo anmol nishani ki tarah
tu ne duniya ki nigahon se jo bacha kar likhe
salaha-saal mere naam barabar likhe
kabhi din main to kabhi raat main uThakar likhe
tere Khushbu main base Khat main jalata kaise
pyaar main Doobe huye Khat main jalata kaise
tere haathon ke likhe Khat main jalata kaise
tere Khat aaj main ganga mein baha aayaa hoon
aag bahate huye pani mein laga ayaa hoon
Jab kabhi bhi main ye Nazm sunta hoon, mujhe lagta hai ke technology ne khat se judi romaniyat ko khatm kar dia.. ab wo khat main basa lums kahin nahin.. sms aur emails ne shayad waqt ko to peeche chor dia hai, lekin jo maza khat ke intezar aur intezar ke bad milne wale khat ko padhneaur usse sanbham kar rakhne main tha wo kahin kho gaya.