choor paiman-e-wafa ki baat sharminda na kar
dooria, majbooria rusvaaiaa, tanhaaiaa
koi katil, koi bismil, siskiaa, shehnaaia
dekh yey hansta hua mosam hay mozoo-e-nazar
waqt ki Ro main abhi sahil abhi moj-e-fana
aik jhonka, aik andhi, ik kiran, ik joay-e-khoon
phir wahi sahra ka sanaata wuhi marg-e-junoon
hath hatho ka asaasa, hath haaho say juda
jab kabhi aaeyga phir kabhi judaai ka samaa
toot jaaeyga meray dil main kisi khuaaish ka teer
bheeg jaaeyga teri aankho main kajal ki lakeer
kal kay andaisho say apnay dil ko aazarda na kar
dekh yey husta hu amosam yey khusbu ka safar