kab kon kissi ka hota hai ?
sub jhoot-e- rishtay naatay hain
sub dil rakhnay ki baatain hain
sub Asli roop chupaatay hain
ikhlaaq say khaale log yahan
lafzooN k teer chalaatay hain
ek baar nigaahoN main aaker
Phir Saari umer Rulaatay hain
hum Khushboo kay sodager hain
or Sacha soda kertae hain
jo Gaahak Pholon jaisa ho
hum bin DaamoN bik jaatay hain
hum shehr-e-wafa k LogooN ka
tum haal bhala kia jaano gay
Hum dil ki chot chupaatay hain
Hum Aansoo tuk pee jaatay hain