Khushaal say tum bhi lagtay hoo
Yoon afsurda tu hum bhi nahi
Pur jannay walay jantay hain
KHUSH tum bhi nahi, KHUSH hum bhi nahi
Tum aapni khudee kay pehray main
Aur dam’ay gharoor main jukray huway
Hum aapnay zum kay nurghay main
ANAA hath hamaray pukray huway
Aik mudat say ghult’an pichaan
Tum rubt o garaiz kay dharoon main
Hum aapnay aap say uljhay huway
PUCHTAWOON kay aungaroon main
Mehsoor’ay talatum aaj bhi ho
Go tum nay kinaaray dhoond liyay
Tufaan say sambhalay hum bhi nahi
Kehnay ko SAHARAY dhoond liyay
Khamoosh say tum hum mahr ba’lub
Jug beet gay, tik baat kiyay
Suno! KHAIL adhoora choortay hain
Bna chaal chalay, bna maat kiyay
Jo bhagtay bhagtay thuk jaein
Wooh saay ruk bhi saktay hain
Chalo toru kasum iqraar karein
Hum donoo JHUK bhi saktay hain!!
Re: Khushaal say tum bhi lagtay hoo
thats soo beautiful kuri ptakha:k: :k: par kia kiya jaaye jhukaa nhi jaata:(
Amal
4
Re: Khushaal say tum bhi lagtay hoo
beautiful:k:
Re: Re: Khushaal say tum bhi lagtay hoo
thanx alot Amal ji… :k:
and all of you 
Re: Khushaal say tum bhi lagtay hoo
bhut khoob:k: