Khush huun ke mera husn-e-talab kaam tu aaya
khaali he sahi meri taraf jaam tu aaya
kaafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap ka paigham tu aaya
apnon ne nazar pheri dil ne tu diya saath
duniya mein koee dost mere kaam tu aaya
wo subha ka ehsaas ho yaan meri kashish ho
duuba hua khursheed sar-e-baam tu aaya
log un se ye kehte hain ki kitne hain Shakeel aap
iss husn ke sadqe mein mera naam tu aaya
By: Shakeel Badayuni