Khush Hum Bhi nahi Khush tum Bhi nahi

**khushhal say tum bhi lagtay ho, yon afsurda to ham bhi nahin
per jan-nay walay jantay hain , khush ham bhi nahin khush tum bhi nahin

tum apni khudi kay pahray main, or dam-e-ghoror main jakray hoaye
ham apnay za-am kay narghay main , ana hath hamaray pakray hoaye

ik muddat say ghaltan paychan, tum rabt-o-guraiz kay dharon main
ham apnay aap say uljhay hoaye, pachtaway kay angaron main

mahsor-e-talatum aaj bhi ho, go tum nay kinaray dhoond liaye
tofan say sanbhlay ham bhi nahin, kahnay ko saharay dhoond liaye

khamosh say tum ham mohar ba-lab, jug beet gaye tuk baat kiaye
suno khail adhora chortay hain, bina chal chalay bina maat kiaye

jo bhagtay bhagtay thak jain, wo sa-aye ruk bhi saktay hain
chalo torro qasam iqrar karain, ham donon jhuk bhi saktay hain
**

beautiful, i love this ghazal :k::k:

Impressive .

Zabar10 :k:… luv this ghazal..

thx for sharin :flower1:.. and welcome to GS :slight_smile: