Khush hoon ki meraa husn-e-talab kaam to aayaa
Khaali hi sahi meri taraf jaam to aayaa
kaafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap kaa paighaam to aayaa
apanon ne nazar pheri to dil ne to diyaa saath
duniyaa main koi dost mere kaam to aayaa
wo subah kaa ehsaas ho yaan meri kashish ho
doobaa hua khursheed sar-e-baam to aayaa
log un se ye kehate hain ki kitane hain “Shakeel” aap
is husn ke sadaqe main meraa naam to aayaa
~~~~~~~~~
Shakeel Badayuni
~~~~