Bichray tu qurbatoon ki dua bhi na kar sakay
Ab ke tujhe sapurd-e-Khuda bhi na kar sakay
Taqseem ho ke reh gaye sad kircheyoon mein hum
Naam-e-wafa ka qarz ada bhi na kar sakay
Nazuk mizaaj log thay hum jaise aaeena
Tootay kuch is tarah ke sada bhi na kar sakay
**Khush bhi na rakh sakay tujhe hum apni chaah mein**
Achi tarah se tujh ko khafa bhi na kar sakay
Aisa salook kar ke tamashaee hans parain
Koi gila gudaaz, gila bhi na kar sakay
Hum muntazir rahay, koi mashq-e-sitam tu ho
Tum maslehat shanaas, jafa bhi na kar sakay...
wah :k: superb
V nice :k:
i was thinking to post this ghazal today ![]()
very nice :k:
WAH :k:
Oh Superbbb!!! :k:
Thanks all ...
Re: Khush bhi na rakh sakay tujhe hum apni chaah mein
What a gazall :k:
thanks fo rsharing…