khumaar-e-gham hai, mehakti fiza men jeetay hain

**khumaar-e-gham hai, mehakti fiza men jeetay hain
teray khayal ki aab o hava men jeetay hain..

firaq-e-yaar me saanson ko rokey rakhtay hain
har ek lamha utarti qaza men jeetay hain..

na baat poori huee thi ke raat toot gae
adhoorey khaab ki aadhi saza men jeetay hain..

tumhari baaton men koyee masiha basta hai hasin labon sey barasti shafa mein jeetay hain....!

**