Khuli jo aankh to...

Khulii jo aa.Nkh to vo thaa na vo zamaanaa thaa
dahakatii aag thii tanhaa_ii thii fasaanaa thaa

Gamo.n ne baa.NT liyaa mujhe yuu.N aapas me.n
ke jaise mai.n ko_ii luuTaa huaa Khazaanaa thaa

ye kyaa ke cha.nd hii qadamo.n pe thak ke baiTh gaye
tumhe.n to saath meraa duur tak nibhaanaa thaa

mujhe jo mere lahuu me.n Dubo ke guzaraa hai
vo ko_ii Gair nahii.n yaar ek puraanaa thaa

Khud apane haath se “Shahzad” us ko kaaT diyaa
ke jis daraKht ke Tahanii pe aashiyaanaa thaa

Farhat Shehzad

Beautiful... thanks for sharing

Bahut khoob :k:

:k:
Welcome and thanks for sharing

Shukar hai aap nay insanoon wali baat behi kee…

No second thought today… ?

niceeeeeeeeeee:k:
and dilsay u r right no second thought:hehe: