bohat hi aala hai… aap to lagta hai asli shaira hain. bohat arsay baad GS pay itna acha kalam parhany ko mila. aik do saal pehlay aik khatoon thin yahan jo acha likha karti thin. amal sahib bhi acha likhtay hain. ab aap bhi hain. bohat khoob.
kaisay ham tamseel karte shakl-e-be tamseel ko
daad khwaah-e-waqt thay be-daad ban kay reh gye
jo na dekhay thay kabhi wo waqt kay taiwar khulay
KiyuN na hoN bechainiyaaN har moR par har gaam par
Raahzan kay roop maiN jab soorat-e-rahbar khulay
mashaa Allah. Ghaal to waaqe’atan bahooot achchhii hai. vaise, yeh Ghazal maiN pahle paRh chukaa huN isii forum par jise aapne nazm kii shakl meN post kii thii. har misr’e ko do do HissoN meN taqseem kar diyaa thaa. yeh rahaa us post kaa link. us waqt bhii mujhe bahot pasand aayii thii…Allah kare zor e qalam aur ziyaada!
Sochne baithe tujhe,to kaise kaise dar khulay
jo muqfal muddatoN se thay woh sab daftar khulay
kaisay ham tamseel karte shakl-e-be tamseel ko
us kay johar raNg ban kar aisay aaNkhoN par khulay
AaNkh kheera ho gayi , chuNdhya gyi chashm-e-khirad
paish manzar ban kay kuch is taur pas manzar khulay
daad khwaah-e-waqt thay be-daad ban kay reh gye
jo na dekhay thay kabhi wo waqt kay taiwar khulay
KiyuN na hoN bechainiyaaN har moR par har gaam par
Raahzan kay roop maiN jab soorat-e-rahbar khulay
meri qismat ka sitara gum kahin par ho gaya
aasmaaN par kya karooN aNjum zia parwar khulay
MeiN bhi ye ghazal doosri baar parrh raha hooN. Ghazal kahi hi khoob gai hey. Yaqeenan Shazia ji ney bohat kuch aur bhi bohat acha likha ho ga, lekin meri nazar sey unki is sey behtar koi tehreer nahi guzri.