Dil bhar gaya wafa se kisi be wafa ke baad
Khul kar button ko pooja hai humne khuda ke baad
Batla rahe the zard lifaafe hawa ka rukh
patton ke khat mile mujhe, thandi hawa ke baad
Dunia se jaane walon ke chehre se hai ayaan
ZindaaN ghar hi lagta hai, lambi saza ke baad
Askhon ki aabsharmain, hichki bhara jawab
Tazeer ishq per lagi, Husn e adaa ke baad
Acha huwa ke koi mehrum na mil saka
dil main bhi thi jaga kahan, apni ana ke baad
Shayd meri talab main kami thi khuloos ki
taskeen warna hoti hai, sachi dua ke baad
Qurbani mangne laga, her kaam ke liye
Aaina poojne lage sab devta ke baad
Hum da’ira paraston ke, chungal main main qaid hain
Manzil mile gi qom ko her rehnuma ke baad
Qais aaj log toot ke chahen hamen to kia
Ab hum nirre badan hain aatma ke baad