Khudgarz

Khudgarz

Ay dil! apnay dard kay karun to kia kia baytaab raha
din kay hungaamo main dooba, rato ko baykhuab raha
laikin teray zukhm ka murhum teray liay nayab raha

phir ik anjaani soorut nay teray dukh kay geet sunay
apni sundarta ki kirni say chaahut kay khuaab bunay
khud kaanto ki baarh say guzri, teri rah main phool chunay

Ay dil! jis nay teri mehroomi kay dhaagh ko dhoya
aj us ki aankhain purnum thee, aur tu soch main khoya tha
dekh puraaey dukh ki khatir, tu bhi kabhi rooya tha?