Khudgarz

" Main aur tu "

Roz jab dhoop pahaaro say uturnay lugti
koi ghut ta hua burhta hua baykul saaya
aik dewaar say kehta kay meray saath chullo

aur zanjeer-r-rafaqut say guraizaa dewaar
apnay pindaar kay nushay main sada istaada
khuaaish-e-hamdam-e-daireena pay hus daiti thi

kon dewaar kisi saaey kay hamrah chuli
kon dewaar magar humesha istaada rahi
wuqt dewaar ka saathi hay na saaey ka rufeeq

aur ab sang-o-gilo-o0khist kay mulbay tulay
ussi dewaar ka pindaar hay raiza raiza
dhoop nilki hay magar jaanay kaha hay saaya

Khuaab

woh chaand mera hamsafar tha
doori kay ujaar janglo main
ab meri nazar say chup chuka hay

ik umr say mulool-o-tanha
zulmaat ki rahguzar main hu
main agay burho kay loot jaao
kia soch kay intizar main hu
koi bhi nahi jo yey butaey
main kon hu kis dayar main hu

Khudgarz

Ay dil! apnay dard kay karun to kia kia baytaab raha
din kay hungaamo main dooba, rato ko baykhuab raha
laikin teray zukhm ka murhum teray liay nayab raha

phir ik anjaani soorut nay teray dukh kay geet sunay
apni sundarta ki kirni say chaahut kay khuaab bunay
khud kaanto ki baarh say guzri, teri rah main phool chunay

Ay dil! jis nay teri mehroomi kay dhaagh ko dhoya
aj us ki aankhain purnum thee, aur tu soch main khoya tha
dekh puraaey dukh ki khatir, tu bhi kabhi rooya tha?

phirtay hain ab bhi dil ko guraibaa kiay huay

phirtay hain ab bhi dil ko guraibaa kiay huay
jin wehshioo pay hain teray ehsaa kiay huay

tajdeed-e-wafa kia ho kay bursoo guzar gaey
tujh say koi sukhn bhi meri jaa kiay huay

ji maanta nahi hay kay ham bhi bhula chukain
teri tarah say wada-o-paimaa kiay huay

kuch zid main naaseho ki tujhay chatay ruhay
kuch paasdaari-e-dil-e-nadaa kiay huay

ay ishq ham say aur bhi hoongay zumnay main
acha bhulay ghuro ko bayabaa kiay huay

wada kia tha us nay kissi shaam ka kabhi
ham aaj tuk hain ghur main churaghaa kiay huay

tark-e-wafa kay baad huvis ikhtiaar ki
is karobaar main bhi hain nuksaa kiay huay

ham woh aseer hain kay zumanay guzar gaey
band apnay aap pur dar-e-zindaa kiay huay

Re: phirtay hain ab bhi dil ko guraibaa kiay huay

wah wah, beautiful...keep it up

Re: Khudgarz

Wah :k:

Re: Khuaab

excellent :k:

Re: Khuaab

:k:

Re: Khudgarz

:k:

Re: phirtay hain ab bhi dil ko guraibaa kiay huay

:k:

Re: Main aur tTu

:k:

Re: Khudgarz

nice slection harf :)

Re: Khudgarz

simply da best dear.........hmm......

Re: Main aur tTu

Bhaee bohatttt aa'la....
bohat zabardast....
Classical choice....keep it up...
*Thanx for sharing...:) *

Re: Khudgarz

Buhat khoob,, behtareen... collection,,Herf-e-Janoon,,

Re: phirtay hain ab bhi dil ko guraibaa kiay huay

Ali bhai, apka angootha, aisey rakhey rakhey thakta nahi??/ :naraz:

Re: Khudgarz

Thankyou guys
tell me who is interested in progessive and political writing