Khudaa wo waqt na laaye ki soGawaar ho tuu
Sukuu.N kii nii.nd tujhe bhii haraam ho jaaye
Terii masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye
Terii hayaat tujhe talKh jaam ho jaaye
Gamo.n se aaiinaa-e-dil gudaaz ho teraa
Hujuum-e-yaas se betaab hoke rah jaaye
Wafuur-e-dard se siimaab ho ke rah jaaye
Teraa shabaab faqat Khwaab ho ke rah jaaye
Guruur-e-husn saraapaa niyaaz ho teraa
Tawiil raato.n me.n tuu bhii qaraar ko tarase
Terii nigaah kisii Gam_gusaar ko tarase
Khizaa.N_rasiidaa tamannaa bahaar ko tarase
Koii jabii.n na tere sang-e-aastaa.N pe jhuke
Ki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad kare
Fareb-e-waadaa-e-farda pe aetamaad kare
Khudaa wo waqt na laaye ki tujh ko yaad aaye
Wo dil ki tere liye be-qaraar ab bhii hai
Wo aa.Nkh jis ko teraa intazaar ab bhii hai
… enjoy …
To see a world in a grain of sand
And heaven in a wild flower
Hold affinity in the palm of your hand
And eternity in an hour
aankhone se duur hai tu ,magar dil ke qareeb hai…teri yaad mere mehboob mujh ko aziz hai …tu jitna bhi ruswa hoja magar sunle mere sanam…main tujh se mohabbat karoonga jo mera naseeb hai
Logoon ne apna hunar dikhaya bhee bohat hai… Ja ja ke ussay main ne manaya bhee bohat hai… Such puchoo to bohat pyara bhee lagta hai dill koWoh shakhs.. jiss ne iss dill ko dukhaya bhee bohat hai