***Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu ***
***sukuun kii neend tujhe bhii haraam ho jaaye ***
***terii masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye ***
***terii hayaat tujhe talKh jaam ho jaaye ***
***Gamon se aaiinaa-e-dil gudaaz ho teraa ***
***Hujuum-e-yaas se betaab hoke rah jaaye ***
***wafuur-e-dard se siimaab ho ke rah jaaye ***
***teraa shabaab faqat Khwaab ho ke rah jaaye ***
***Guruur-e-husn saraapaa niyaaz ho teraa ***
***tawiil raaton men tuu bhii qaraar ko tarase ***
***terii nigaah kisii Gam_gusaar ko tarase ***
***Khizaan rasiidaa tamannaa bahaar ko tarase ***
***koii jabiin na tere sang-e-aastaan pe jhuke ***
***ki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad kare ***
***fareb-e-waadaa-e-farda pe aetamaad kare ***
***Khudaa wo waqt na laaye ki tujh ko yaad aaye ***
*********wo dil ki tere liye be-qaraar ab bhii hai ***
***wo aankh jis ko teraa intazaar ab bhii hai ***
Saroor, esa hi hota he, Dil chahta he ke sab badoowain don us ko ............par mera piyaar kehta he ke us ki chahat main khot tha tu meri chahat kun badoowa de........khair. nice poem