Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu

** Khudaa wo waqt na laaye ki soGawaar ho tuu
sukuu.N kii nii.nd tujhe bhii haraam ho jaaye

terii masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye
terii hayaat tujhe talKh jaam ho jaaye

**** Gamo.n se aaiinaa-e-dil gudaaz ho teraa
Hujuum-e-yaas se betaab hoke rah jaaye

wafuur-e-dard se siimaab ho ke rah jaaye
teraa shabaab faqat Khwaab ho ke rah jaaye

**** Guruur-e-husn saraapaa niyaaz ho teraa
tawiil raato.n me.n tuu bhii qaraar ko tarase

terii nigaah kisii Gam_gusaar ko tarase
Khizaa.N_rasiidaa tamannaa bahaar ko tarase

**** koii jabii.n na tere sang-e-aastaa.N pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad kare

fareb-e-waadaa-e-farda pe aetamaad kare
Khudaa wo waqt na laaye ki tujh ko yaad aaye

****wo dil ki tere liye be-qaraar ab bhii hai
wo aa.Nkh jis ko teraa intazaar ab bhii hai **

Re: Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu

**:k:

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhe hai…
kahan ho tum k ye dil beqarar aaj bhe hai… :)**

Re: Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu

:lajawab:

Re: Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu

**
terii nigaah kisii Gam_gusaar ko tarase
Khizaa.N_rasiidaa tamannaa bahaar ko tarase

Beautiful :k:
**

Re: Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu

buhat khub :k:

Re: Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu

**Khudaa wo waqt na laaye ki soGawaar ho tuu
sukuu.N kii nii.nd tujhe bhii haraam ho jaaye

shayar thora sayasi hai… tazaad hai is shair mein…pehli line mein dua, aur doosri mein..bad’dua :hmmm:
**

Re: Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu

[QUOTE]
Khudaa wo waqt na laaye ki soGawaar ho tuu
sukuu.N kii nii.nd tujhe bhii haraam ho jaaye

[/QUOTE]
:(