Khuda

Bura laga to ho ga ay khuda tujhe
Dua main jab
Jamaie le raha tha main !
Dua ke is amal se thak gaya hoon main
Main jab se dekh sun raha hoon
Tab se yaad hai mujhe
Khuda jala bhujha raha hai raat din
Khuda ke hath main hai sab bura bhala
Dua karo
Ajeeb sa amal hai yea
Yea aik farzi guftagu
Aur aik tarfa…Aik ayse shakhas se
Khayal jis ki shakal hai,
Khayal hi saboot hai. !