Sakoon ki neend tujhay bhi haram ho jaye
Teri musarat-i-peham tamam ho jaye
Teri hayat tujhay talakh jam ho jaye
Ghamoon sey aaina-i-dil gudaaz ho tera
Khuda woh waqt na laye key soogawaar ho to !!
Hajoom-i-yaas sey beetab ho ker rah jaye
Wafoor-i-dard sey seemab ho ker rah jaye
Tera shabab faqat khawab ho ker rah jaye
Khuda woh waqt na laye key soogawaar ho to
Taweel ratoon mein to bhi qarar ko tarsey
Teri nigah kisi gham gussar ko tarsey
Khizan raseda tamana bahar ko tarsey
Koi jabeen na tery sang-i-aaastan pey jhukey
key jins-i-igz-o-aqeedat sey tujh ko shaad karey
Fareeb-i-wada-i-ferda per ihteebar karey
Khuda woh waqt na laye key tujh ko yaad aye
Woh dil jo tery liye beqaarar ab bhi ha
Wih aankh jis ko tera intizaar ab bhi ha