Khuda Woh Waqt Na Laiy......!!!

Khuda Woh Waqt Na Laiy Keh Sogwaar Hoo Tou
Sakoo~n Key Neend Tujhay Bhee Haram Hoo Jaiy
Tairee Musarat e Payhum Tamam Hoo Jaiy
Tairee Hayat Tujhay Talakh Jaam Hoo Jaiy

Ghamoou~n Main Aaina e Dil Gudaaz Hoo Taira
Hajoom e Yaas Say Baytab Hoo Kay Reh Jaiy
Wafood e Dard Say seemab Hoo Kay Reh Jaiy
Taira Shabab Faqt Khawab Hoo Kay Reh Jaiy

Gharoor e Husn Sarapa Niaz Hoo Taira
Taveel Ratoon Main Tou Bhee Qarar Koo Tarsay
Tairee Nigah Kisse Ghum Ghusaar Koo Tarsay
Khizaan Raseeda Tamana Bahar Koo Tarsay

Koi Jabee~n Na Tairay Sang e Astaa~n Pay Jhukay
Keh Jinas e Ejaz o Aqeedat Say Tujh Ko Shaad Karay
Fareeb e Wada e Farda Pay Aaitmaad Karay
Khuda Woh Waqt Na Laiy Keh Tujh Koo Yaad Aiy

Woh Dil Keh Tairay Liay Bayqarar Abh Bhee Hai…“sighs”
Woh Ankh Jiss Koo Taira Intizaar Abh Bhee Hai…“sighs”

Re: Khuda Woh Waqt Na Laiy…!!!

:k:

Re: Khuda Woh Waqt Na Laiy…!!!

*wo dil k tere liye be-Qaraar ab bhii haii
wo ankh jis ko tera intezar ab bhii haii *

:k:

Re: Khuda Woh Waqt Na Laiy......!!!

Very nice.

Faasila nazroN ka dhooka bhi to ho sukta hai
Who miley yah naa miley, haath barrha kur dekho

Re: Khuda Woh Waqt Na Laiy…!!!

thts one of faiz sahib’s greatest work very nice:k:

Re: Khuda Woh Waqt Na Laiy…!!!

Beautiful… :flower1: