Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho too

Sakoon ki neend tujhay bhi haraam ho jaye
Teri musarat-e-paiham tamam ho jaye
Teri hayat tujhay talkh jaam ho jaye

Ghamon say aaina-e dil gudaaz ho tera

Hajoom-e-yaas say baitaab ho kay reh jaye
Wafoor-e-dard say seemab hokay reh jaye
Tera shabaab faqat khwaab ho kay reh jaye

Gharoor-e-husn saraapa niaz ho tera

Taweel raton main too bhi qaraar ko tarsay
Teri nigah kisi ghamgusaar ko tarsay
Khazan raseeda tamana bahar ko tarsay

Koi jabeen na teray sang-e-aastan pay na jhukay

Keh jins ajz-o-aqeedat say tujhay shaad karay
Faraib-e-wahda-e-farda pay ahtmad karay
Khuda woh waqt na laye keh tujh ko yaad aaye

Woh dil keh teray liye beqarar ab bhi hay
Woh aankh jis ko tera inteaar abb bhi hai


Restored attachments:

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

maze kii baat to yeh hai k maiN is Ghazal kii designer Rida ko jaantaa huN...lol

kalaam zabardast hai...maiN ne Faiz saaHib kii nazamiyaat kam hii paRhii haiN. bahot umda nazam hai. shukria.

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

Rida aap ke pados main reti thi?

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

nahiiN…paiGhaam site par kaafii jaan pahchaan thii…:slight_smile: magar, merii tukbandii kabhii nahiiN design kii…kahti thiiN k aapkii tukbandi pahle se hii saji sajaaii hai! :cb:

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

Bahanay bahany se bad'duaa

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

DUAEN BCHALEN GIusko
insan ko vo katna hota hy jo bota hy

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

ishq main dil per jo guzarati hai.. uske baad banda badduaen na de to kia kare

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

Hum ne thori kaha ishq kernay ko

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

:hmmm: han orr kia kia optonz ho sakti hein

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

aur ye ke shartiya duaen de.. khush raho magar apne kharche per

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

:cb: yi mohabat nahi hoti :frowning:
usko khosh rehne dia jai jese vo khosh ho :k:

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

ye Shah Waliullah jaisi muhabbaten aaj ke zamane main outdated hain

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

shah waliullah ban jain to phir kia baat ho :snooty:
TIME PASS se to achi hy

Re: Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho tu

waqt ka kia hai guzarta hai guzar jae ga :snooty: