Khuda qasam...

**Khuda qasam tumhara chehra phorh daalay ga,
Apun ko time nahin, tumko torh daalay ga,
Tumharay wastay apun nai banay cholay hain,
Tumko piyaas lagay hum dariya morh daalay ga.

Hum tumhain piyar karun, to tum ko kiya problem hai,
Tum humain piyar karo warna thobrha bigaarhay ga,
Apun ka maatha aik dum set hai magar phirta hai,
Apun ka sar phira tau do mukkay lagaaday ga.

Tum apna toffee hai, bilkul apun ka bulbul hai,
Apun totay ki maafiq tumharay paas aaye ga,
Agar kissi aur ka lafrha hum nai wahan dekha,
Apun tum ko cheel ki maafiq kaat daalay ga.

Apna style hai yeh, apun ka apna bhankus hai,
Tere ishq main hum apnay ko kaat daalay ga,
Ziada panga is bhai ko haan bardasht nahin,
Hum ko piyar kar warna Yamraaj sai milaay ga.

Lajawab**

hummm

abay yeh kia deshat gardi hay bhai :rotfl:
bhaag jaidii beechari peechay murh kar bhi nai daikhaigi aisay to :stuck_out_tongue:

sahi baat hai
khulay aam dehshatgardi:p

Re: Khuda qasam…

:slight_smile: good 1 :k: wid love Cute Swee2 :Pretty:

Lajawab badmashi :rotfl:

lol.Its kinda cute- that 'apun' part.

clapping.. lajawab hai bilk ul lajawab ji

mashaAllah good 1:)

:eek:

omg that was too much :rotfl:

u proved you are a true Karachiite :smiley:

p.s. great work waise :k: