<o:smarttagtype namespaceuri=“urn:schemas-microsoft-com<img src=” http:=“” www.paklinks.com=“” gs=“” images=“” smilies=“” redface.gif=“” border=“0” alt=“” title=“Embarrased” smilieid=“318” class=“inlineimg”></o:smarttagtype> Chaha bohat dhonda bohat mein nay
Talasha bohat khoja bohat mein nay
Dhonda mein nein usay paharon mein chatanon mein
Phira mein mara mara jungalon weeranon mein
Baichani si bus gayi hay ab dil mein
Janay kyun mujhko khuda nahin milta
Shab o roz ki mein nay teri bandagi
Guzardi hay sajday mein sari zindagi
Kho sa gaya hoon bus teray hi ishq mein
Bus ik akhri tamanna yeh hay is dil mein
Mujhko bus ik jhalak tera
Phir nazara kyun nahin milta
Sabhi faraiz kiyay mein nain puray
Namaz chori kabhi na rakhay rozay adhooray
Bus ik teray deedar ka talib hoon
Akhir kya kami hay mujh mein
Koi bataiy akhir mujhi ko kyun
Mera khoya khuda nahin milta
Mein to bus tujh ko yad karta hoon
Tera zikr bar bar karta hoon
Zindagi waqf ki hai teray liye
Mera jina marna hay ab teray liye
Kiya yeh teri bairukhi ki intiha nahin
Mujh ko phir bhi mera apna khuda nahin milta
Kahan jaoon kis say mein pochoon
Kya ilzam hay mujh pay kya mein mujrim hoon
Sawal ka meray jawab kyun nahin mujhe milta
Faryad meri kyun nahin koi sunta
Jisay chaha mein nay wo kyun mujhe nahin milta
Mujh ko mera khuda kyun akhir nahin milta
Pas mulq ul maut raha hay mandla
Waqt mera akhri kareeb ab raha hay a
Kya yeh sath meray zulm nahin jabr nahin
Kurb matlub tha tera apni kabr nahin
Pas meray ruknay ka aur ab waqt nahin
Baqi mujh mein zara sa bhi ab sabr nahin saqat nahin
Is jahane fani say janay se pehlay
Koi sab kuch hay pata to kisi ko kuch nahin milta
Ay khuda ab tu khud hi bata day mujh ko
Ta qayamat sochta hi reh jaon ga wagarna
Khuda janay kyun mujhi ko akhir
Mera apna khuda kyun nahin milta