Hajoom humnafsaan chara al’m na huwa
kay is tarha gham tanha rawi to kum na huwa
na poch dasht-e-talab main mata-e-damn-e-zeest
ye tar tar to hota raha par num na huwa
likhi gaye hai janoo ki hakaitain kya kya
magaR woh qisha-e-gham jo kabhi raqm na huwa
rah-e-talab main hain asoda haal roh na jism
khuda khuda hi raha aur sanm sanam na huwa
woh kon hain kay hawas ras agaye jinhay
yaha to ishq bhi chara gar alm na huwa
guman huwa mujhay ashsaaN nashanasaye ka
jo khud bakhud koi amada sitam na huwa