**Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na HoYahan Jo Phool Khilay, Khila Rahay Sadi’on
Yahan Khizaan Ko Guzarnay Ki Bhi Majaal Na HoYahan Jo Sabza Ugay, Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz Ke Jis Ki Koi Misaal Na HoKhuda Karay Ke Na Kham Ho Sir-e-Waqar-e-Watan
Aur Is Ke Husn Ko Tashweesh-e-Mah-o-Saal Na HoHer Aik Fard Ho, Tahzeeb-o-Fun Ka Oaj-e-Kamaal
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na HoKhuda Karay Ke Meray Aik Bhi Hum’Watan Ke Leay
Hayaat Jurm Na Ho, Zindagi Wabaal Na HoKhuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho****Ahmad Nadeem Qasm
Ameen **