tum mehnat kartay jao,mehnat ka silla janay,khuda janay
to dia jala k rakh,hawa janay,khuda janay.
khizan ka khauf mali ko buzdil nahin kar sakta
chamman abad rakh,baad e saba janay,khuda janay.
khud ko mariz e ishq bana,dil ki dawa samajh
marz janay,dawa janay,shafa janay,khuda janay
jo mar k zindagi chahtay ho to faqeeri apna ly
wafa k andar fana ho ja,baqa janay,khuda janay
yeh poori ho na ho,bekaar nahin jati
Shakir to dua mangta reh,dua janay,khuda janay
Restored attachments:
