shohar ka eemaan khuda hi jaanta hai
dil k sab armaan, khuda hi jaanta hai
begam ko tasveer mili hai takiyay mein
jeenay ka imkaan khuda hi jaanta hai
hijr mein pitta maara pathri toot gaee
kab hoga yarkaan khuda hi jaanta hai
jisko dekho COUSIN usay wo kehti hai
BHAI hai ya JAAN, khuda hi jaanta hai
saas kisi ki aghwa ho to ho jaaey
kon bharay taawaan khuda hi jaanta hai
beta keh bethi mehbooba ki amma
ab iska nuksaan khuda hi jaanta hai