jamal ban k mere ankh main samatay ho
khayal ban k meray dil ko gudgudatay ho
kamal ban k mere zindagi banatay ho
visaal ban k meray hosltay barhatay ho
Khuda gawah hai k tum mujhko yaad atay ho
main dekhta ho tabassum k jaam-e-sehbayi
main dekhta ho takallum ki naghma sehrayi
main dekhta ho uros-e-nazar ki angrayi
shabab-o-sher ki rangeenyan barhatay ho
Khuda gawah hai k tum mujhko yaad atay ho
main dekhta ho tumhari ziya sitaron main
main dekhta ho tumhari ada baharon main
main dekhta ho k tum aik ho hazaroon main
main dekhta ho k tum har shay main muskuratay ho
Khuda gawah hai k tum mujhko yaad atay ho
main dekhta ho k ashiq ki aahh main tum ho
main dekhta ho k kaafir nigah main tum ho
main dekhta ho k mehr-r-maah main tum ho
har aik rung main jalwa naya dikhatay ho
Khuda gawah hai k tum mujhko yaad atay ho