**khud ko laanay kay liye wasato’n mein bikharna parta hai
khud ko paanay kay liye faasilo’n say samaitna parta hai
jub samjhay ab to sambhal gaye
ab to samait liye gaye
phir say door tak bikharna parta hai
aabadiyo’n mein basnay say pehlay
wairaaniyo’n mein bhatakna parta hai
man-o-tan kay nikharnay say pehlay
shab-o-roz ka jalna parta hai
jab samjhay ab to takmeel paa gaye
ab to basa liye gaye
phir say lamba ujarna parta hai
raahain sanwarnay say pehlay
thokro’n say guzarna parta hai
muhabato’n kay diye jalanay say pehlay
sholo’n mein palna parta hai
jub samjhay ab to haasil kar liye gaye
ab to sanwar gaye
phir say poora lutna parta hai
kya zamanay say samjhai’n ya samjhaaei’n zamanay ko
apni hi zaat mein ulajh ulajh kar sulajhna parta hai
kay khud say hat kar khud ko samajhna parta hai
**