khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein...

***khuwaab saath rehne ke nit naye dekhata hai…
ye jo asal mausam hai ye guzarta jaata hai…

khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein…
warna hijar ka mausam kis ko raas aata hai…

to hawaon ka mausam tujh ko kiya khabar janaan…
gard-e-badgumaani se dil toot bhi jaata hai…

aik tum hi the warna aadmi muhabbat mein…
laakh aayein deewarein raastey banata hai…

hum to khair nadaan the muntazir rahe warna…
kaun apni beenayi is tarah ganwata hai…

kitne khuwaab aankhon mein zakham ban ne lagte hain…
jab hawa ke honton pe tera naam aata hai…

senkron dukaanein hain wisal ke charaghon mein…
kaun hijar mein apna ab lahoo jalata hai…***

Re: khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein…

:k: great

Re: khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein...

wah wah bohat khoob

Re: khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein...

very nice

Re: khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein...

Very nice Dania

Re: khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein...

:)