khuab adhooray hotay hain
khuab tou jhootay hotay hain
khuab aziyat detay hain
khuab adawat detay hain
rahnay walay khuabon main
har pal thokar khaatay hain
phir bhi dil ki waadi main
sholon ko bharkaatay hain
sacchay jazbon kay sodai
mushkil kay har lamhay main
seedhi raah sujhatay hain
manzil par pohnchatay hain
rah guzar-e-ulfat main
ghee kay deep jalatay hain
:k::k::k:
Keep it up ![]()
rahnay walay khuabon main
har pal thokar khaatay hain
xperience hai hamein is ka ![]()
B/w Nice one