khuaab-e-sar-e-aab

ab jo sochain bhi to khof aata hay
kis qadar khuaab thay jo khuaab rahay
kis qadar naqsh thay jo naqsh-e-sar-e-aab rahay
kis qadar log thay jo
dil ki dehleez pe dastak ki tarah rehtay thay
aur nayaab rahay!

kis qadar rang thay jo
band kalyoN kay kham-o-pech mai chakraatay rahay
apnay honay ki tab-o-taab mai lehraatay rahay
par kabhi aap say baahir na huway
phool kay haath pe zaahir na huway!
dil kay girdaab mai tootay huway patton ki tarah
hama-tan-raqs rahay
khoon kay surkh mai baynaam sitaaron ki tarah
aks-dar-aks rahay!

kaisay aadarsh thay jin kay saaey
sansanaatay huway teeron ki tarah chaltay thay
hast or neest kay mabeen ajab rishta tha
rooh ki aag bharrakti to badan jaltay thay!

woh shab-o-roz thay kiya,
jab kisi khuwaahish-e-baidaar ki tughyaani mai
waqt ki qaid say lamhaat nikal jaatay thay
khoon mai jab bhi sulagta tha iraada koi
aahni toq, tamaazat say pighal jaatay thay!

aankh kay dasht mai ab laakh aalao dehkain
rooh ki baraf pighalti hi nahi
ab woh aadarsh kabhi
waqt ki oat say jhaankain bhi to yoon jhaanktay hain
jis tarah tooteta taara koi
aik lamhay kay liyay koond kay chhup jaata hay
kis qadar khuaab thay jo khuaab rahay
ab jo sochain bhi to khof aata hay

A. I. Amjad

Wah wah.... shukar hai aap nay kuch lamba behi likha.... (post kiya)
thanks

Ya behi Amjad Shb ka hai

yahii bahut hai ke dil us ko Dhuu.ND laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai

karuu.N shikaayate.n takataa rahuu.N ke pyaar karuu.N
gaye bahaar kii suurat vo lauT aayaa hai

vo saamane thaa magar ye yaqii.n na aataa thaa
vo aap hai ke merii Khvaahisho.n kaa saayaa hai

azaab huup ke kaise hai.n baarishe.n kyaa hai.n
fasiil-e-jism girii jab to hosh aayaa hai

mai.n kyaa karuu.Ngaa agar vo na mil sakaa 'Amjad'
abhii abhii mere dil me.n Khayaal aayaa hai

Wah... both are Lovely!...Zabardast Choice..
Thanks for sharing..

very nice..

:k:

lovely:k::k:
thanks:~)

Re: khuaab-e-sar-e-aab

wah ji wah…bahot aala poem hae:k: I love poems khas kar ke amjad islam amjad ki. He’s #1:)

Re: khuaab-e-sar-e-aab

Lovely :k: